Command Processor kya hai
| |

Command Processor kya hai? कमांड प्रोसेसर क्या है [Hinglish]

 

Ye Operating System ka vo hissa hota hai jo ki operating system commands ko receive karte hain aur execute karte hain. Pratyek operating system mein ek command processor hota hai.

Jab ek command prompt ko display kiya jata hai, tab ye command processor kisi ek command ka wait kar rahi hoti hai. Jab aap command ko enter kar dete hain, tab command processor us command ka syntax analyze karta hai ye sure karne ke liye ki vo command valid hai ya nahi, aur fir ye ya to us command ko execute karti hai ya ek error warning issue karti hai.

Vahin operating systems jismein ek graphical user interface hota hai, usmein ye command processor mouse operations ko interpret karta hai aur appropriate command ko execute karta hai.

Command processor ka dusra naam hota hai command line interpreter.

Command Processor ki Technical Definition kya hai

Ek command processor aisa program hota hai (jise ki likha jata hai assembler language mein, PL/1, ya compiled kar use link kiya jata hai ek load module mein) jo ki control receive karta hai jab ek user, ek terminal mein koi command name enter karta hai.

Ise control pradan kiya jata hai terminal monitor program (TMP) ke dwara, jo ki ek aisa program hota hai jo ki ek interface pradan karta hai terminal users aur command processors ke beech, aur ismein access hota hai bahut se system services ki.

Command Processor aur dusre programs ke beech jo mukhya difference hota hai vo ye ki jab ek command processor ko invoke kiya jata hai, tab ise ek command processor parameter list (CPPL) pass kiya jata hai aur jo ki program ko access pradan karta hai caller aur dusre system services ki information ki.

Command processors jarur hi user ke sath communicate karna chahiye terminal mein, sath mein vo respond bhi karna chahiye abnormal terminations aur attention interruptions ko.

Command processors badi aasani se recognize karta hai subcommand names ko jo ki terminal user ke dwara enter kiya gaya aur ye fir load hota hai aur control pass karta hai appropriate subcommand processor ko.

Command Line Interpreter kya hai

command processor in hindi

Ek command line interpreter aisa program hota hai jo ki allow karta hai Commands ko enter karne ke liye aur fir un commands ko execute karna Operating System mein. Ya aap kah sakte hain ki ye literally commands ka interpreter hota hai.

Ek program jismein ki ek Graphical user interface (GUI) hota hai jaise ki buttons aur menus jinhein ki control kiya jata hai ek mouse, vahin uske viparit ek command line interpreter mein lines of text ko accept kiya jata hai ek keyboard se commands ke roop mein aur fir unhein convert kiya jata hai functions mein jise ki keval operating system hi samajh pate hain.

Ek command line interpreter program ko generally referred kiya jata hai ek command line interface mein. Iske dusre naam hai CLI, command language interpreter, console user interface, command processor, shell, command line shell, aur ek command interpreter.

Command Line Interpreters ko kyun istamal kiya jata hai

Ek computer mein yadi use controlled kiya ja sakta hai easy-to-use applications jismein ki ek graphical interface ho, tab aap soch rahe honge ki kyun kisi ko commands enter karne ke liye command line ki jarurat hogi. Vaise iske mukhya roop se teen main reasons hai jiske vishay mein hum janenge.

Sabse pehle reason yah hai ki aap commands ko automate kar sakte hain. Iske bahut se udaharan hai jaise ki, ek script jo ki hamesha shutdown karti hai certain services ya programs ko jab user first logs in karta hai.

Dusra hai ki aap yadi chahen to similar file format ko copy kar sakte hain, jisse aapko bar bar ek sthan se dusre mein shift nahi hona hoga. Ye sabhi cheejon ko fast aur automatically kiya ja sakta hai commands ke istemal se.

Dusra benefit yah hai ki ek command line interpreter ke istamal se aapke pas Operating System ki Functions ke upar direct access prapt hota hai. Advanced users chahen to command line interface prefer kar sakte hain kyun ki ye concise aur powerful access unhen unke jarurat ki suvidha pradan karti hai.

Vahin naye users ya inexperienced users ko ismein taklif aa sakti hai, kyun ki iske liye experience ki jarurat hoti hai. Ismein available commands itne jyada samanya nahi hote hain jaise ki menu aur buttons mein hua karte the.

Teesra benefit yah hai ki Command line interpreters ka istamal hum tab kar sakte hain jab hamare pas bahut hi bade tadad ki commands aur options ki hoti hai Operating System ko control karne ke liye, lekin hamein ye samajh nahi aata hai ki ise kaise kiya jaye.

Ye ho sakta hai ki GUI software jo ki operating system mein hota hai use simply built nahi kiya jata hai un commands ko utilize karne ke liye. Sath mein ek command line interpreter aapko madad karti hai un commands mein se kuch ko istamal karne ke liye, na ki sabhi commands ko ek sath istamal karne mein.

Isse ye jyada beneficial hote hain un systems mein jismein ki aapke pas kam resources hoti hain graphical program chalane ke liye.

Command Line Interpreters ke vishay mein adhik jankari

Jyadatar Windows operating systems mein, jo primary command line interpreter hota hai vo Command Prompt hi hota hai. Vaise Windows PowerShell ek aur bhi jyada advanced command line interpreter available hota hai Command Prompt ke sath abhi ke recent versions of Windows mein.

Pehle ki bat karen tab Windows XP aur Windows 2000 mein, ek special diagnostic tool jise ki Recovery Console bhi kaha jata tha, vo ek command line interpreter ke tarah kam karta tha aur bahut se troubleshooting aur system repair tasks ko perform karta tha.

macOS operating system ke command-line interface ko Terminal kaha jata hai.

Kai bar aisa dekha gaya hai ki donon ek command line interface aur ek graphical user interface ko saman program mein hi include kiya jata hai. Jab aisa case hota hai tab ye typical hota hai ek interface ke liye ki vo kuch functions ko support karen jo ki dusre mein available nahi hota hai.

Ye aksar command line portion hi hota hai jismein ki jyada features include karna hota hai kyun ki ye pradan karta hai raw access application files ko aur ye limited bhi nahi hoti hain jise ki software developer choose karta hai GUI mein include karne ke liye.

Conclusion:-

Mujhe ummeed hai ki aapko meri yah lekh Command Processor kya hai jarur pasand aayi hogi. Meri hamesha se yahi koshish rehti hai ki readers ko Command Processor in Hindi ke vishay mein poori jaankari pradan ki jaye jisse unhein kisi dusre sites ya internet mein us article ke sandarbh mein khojne ki jarurat hi nahi hai.

Isse unki samay ki bachat bhi hogi aur ek hi jagah mein unhein sabhi information bhi mil jayenge. Yadi aapke man mein is article ko lekar koi bhi doubts hain ya aap chahte hain ki ismein kuch sudhar honi chahiye tab iske liye aap neech comments likh sakte hain.

Yadi aapko yah lekh Command Processor kya hota hai Hindi mein pasand aaya ya kuch seekhne ko mila tab kripya is post ko Social Networks jaise ki Facebook, Twitter ityadi par share kijiye.

Related Posts