Internet Se Download Kaise Kare | Android से डाउनलोड कैसे करे [पूरी जानकारी]
Har koi janna chahte hai Download kaise kare ek zamana tha jab log Internet se kuch bhi Download karne se pehle sochte the, fir chahe vo koi song ho, video ho ya fir koi Movie. Aisa isliye kyunki us samay Internet istemal karne ki keemat bahut hi jyada thi, vahin use store karne ke liye behtar Storage Devices ka bhi abhav tha.
Vahin Internet ke itni suvidha hone ke karan se ab ham apne manchahi chizein jaise ki koi photo, song, video ya fir koi badhiya si Movie (film) ko dukan se kharidne ke bajay use Internet se Download karna jyada pasand karte hain. Lekin ham mein aise mein kuch log hai jinhen ki inhen Download karna nahi aata hai. Vaise ismein unki koi galti nahi hai kyunki unhen kabhi shayad kuch Download karne ki nobat hi nahi aayi ho.
Internet se download kaise kare
Ab to aapko Downloading aur Uploading ke vishay mein pata to chal gaya hoga. Lekin shayad aapko ye na pata ho ki download kaise karen? Downloading kaise karen is nirbhar karta hai ki aap kya download karna chahte hain. Mere kehne ka matlab hai ki aap kis prakar ki File (File Types) ko download karna chahte hain. Aisa isliye kyunki alag alag prakar ke files ko download karne ki vidhi bhi bilkul hi alag alag hoti hai.
Video download karne ki prakriya Song download karne ki prakriya se bilkul hi alag hoti hai. Isliye aapko sabhi prakar ke file types ke vishay mein janna hoga aur ye bhi janna hoga ki unhen download kaise karte hain.
Vahin alag alag devices (Android, iPhone, Windows) mein Files download karne ki prakriya alag hoti hai. Inke vishay mein ham age jane vale hain. Isse farak nahi padta ki aap kaun si device ka istamal karte hain, aap sabhi mein asani se download kar sakte hain.
Photo Download Kaise Kare
Kya aapko photo download karna hai? Ji doston aap asani se internet se photo download kar sakte hain. Photo ko dekhna ham sabhi ko pasand hota hai, vahin kayi bar hamen un Photos ki jarurat bhi hoti hai istamal karne ke liye. Lekin aise jagahon mein yadi hame ye nahi pata ki photo download kaise karen tab vaki hamen pareshani ho sakti hai.
To chaliye jante hai ki apne Phone mein ya Computer mein google se photo download kaise karen.
Android mein download karne ka tarika
Step1: Apne Android Phone mein aap koi bhi web browser jaise Google Chrome, UC browser, opera mini ko khol sakte hain.
Step 2: Ab aapko search box mein vo chiz ka keyword type karke search option par jakar click kar lijiye.
Step 3: Ab aapke samne bahut sare images honge, vahin aapko apne pasandida image par click karke us image ka full version apke device ke screen mein nazar ayega.
Step 4: Yadi aapko image download karna hai tab aapko us image par thodi der ungali daba kar rakhna hoga, aisa karne se apke samne ek pop up box dikhai dega jisme apko bahut se option dikhai padenge, jahan par apko download Image vale option par click karke photo apke downloads folder mein download ho jayega. Aap apne gallery ko khulkar usmein apna downloaded photos dekh sakte hain.
iPhone mein download karne ka tarika
Step 1: Ismein sabse pehle apko apne phone mein web browser khulna hoga.
Step 2: Uske bad search vale jagah par jakar apko jis chiz ka image chahiye uska naam likhna hoga aur search option par click karke search option par click kar dena hoga.
Step 3: Ab pasand aye hue image par click karen, tab us image ka full image apke phone ke full screen par aa jayega.
Step 4: Uske bad us image par thodi der ke liye ungali dabakar rakhiye, aisa karne se apko ek pop up box dikhai dega usme se apko Save Image vale option par click karna hai. Bas apka Photo apke iPhone mein download ho chuka hai.
Windows mein download karne ka tarika
Step 1: Sabse pehle apne phone mein web browser khulie.
Step 2: Uske bad search vale jagah par apko jis chiz ka image chahiye uska naam likhna hoga aur search option par click kar dena hoga.
Step 3: Ab pasand aye hue image par click karen use full screen par lane ke liye.
Step 4: Ab us image par right click karen vahan par apko bahut sare options dikhege, lekin apko yahan par “save image as” par click karna hai.
Step 5: Aisa karne se apke samne ek pop up box samne ayega, jahan par apko vahan us image ko kis naam se save karna hai aur apke device mein kahan save karne hai ye sawal poocha jayega. Ab apko apne jarurat ke hisab se sab likhna hai uske bad us box ke niche “save option” diya hoga uspe click kar lena hai.
Aisa karne se apka photo, apke chune hue sthan par jakar save ho jayega. Jise ki aap bad mein check bhi kar sakte hain ki apka download kiya gaya photo save hua hai ya nahi.
Song Download Kaise Kare
Gane kise nahi pasand. Lekin jab baat songs download karne ki ati hai tab unhen kaise download karna hai ye bat bahuton ko samajh mein nahi ati hai. Isliye abhi mein aap logon ko songs ko Google se download kaise karen aur YouTube se download kaise karen iske vishay mein bataunga.
Ise janne ke bad aap Google aur YouTube mein maujood MP3 aur videos donon hi download asani se kar sakte hain. Age aap janenge ki kaise internet se song download karte hain.
Google se MP3 gane kaise download kare?
Yadi apka device fir chahe vo Computer ho ya fir koi dusra device (SmartPhone ya tablet) ho, yadi vo Internet se juda hua ho tab apko jarur se apne device mein koi badhiya sa Antivirus install kar len.
Ye antivirus apke device ko virus aur malware se bacha kar rakhega. Vahin agar aap koi bhi chiz internet se download kar rahe hain tab unhen ek bar jarur se antivirus ke dwara scan kar len. Isse aap bahut se khatre se bak sakte hain. Chaliye mp3 download kaise karte hain uske vishay mein jante hain.
Step 1: Sabse pehle apko apne device ke web browser mein jana hoga.
Step 2: Vahan par Search vale jagah par gane ka naam likhie aur search button par click kar lijiye.
Step 3: Aisa karne par apko bahut se Songs Websites dikhege jahan se aap apne gane free mein download kar sakte hain, yahan par apko pehle ke links par click karna hota hai aur aisa karne se apko us gane ka link milega.
Step 4: Ek bat dhyan den ki har websites mein gane ka link alag alag diikhta hai jahan par apko adhiktar ek lal rang ka tir dikhai dega jiska upri hissa niche ki taraf rehta hai. Yahi asal mein download ka symbol hota hai aur yadi aap dhyan se dekhen pab uske niche download likha rehta hai. Bas apko apka download link mil gaya.
Step 5: Apko us download vale option par click karna hai uske bad apka file automatically hi download ho jayega. Use aap apne music player mein jakar play bhi kar sakte hain.
Note :- Apko free mein songs download karne ko mil raha hai isliye kuch kuch free song download websites apni income badhane ke liye Ads ka istamal karte hain jiski vajah se unmein bahut sare ads ate rahte hain aur unke niche bhi apko download ka option dekhne ko milega jo sahi nahi hote.
Aise mein agar aap un ads par click karte hain tab bahut se anchahe softwares download ho sakte hain. Apko in tools aur softwares se bachna hai. Vahin apko sahi download link ka chunav karna hai. Iske liye jab aap download option par jaen tab unhen click na karen balki apne mouse pointer uspar rakhen. Aisa karne se apko yadi .mp3 file nazar ata hai niche tab ye sahi link hai. Varna ye keval ek ad hi hai.
YouTube se MP3 download kaise kare?
Jaise ki aap sabhi ko shayad pata hi hoga ki YouTube mein aapko sirf Videos hi dekhne ko milte hain. Lekin aisa bahut bar hota hai ki apko ek video ka music bahut pasand aya lekin uska music apko internet mein nahi milta hai. Aise mein apko yadi ye pata ho ki YouTube se music kaise download karen tab ye apke liye bahut kam aa sakta hai.
Vaise to Internet par bahut sare softwares maujood hain jinka istamal kar aap YouTube ke gane asani se download kar sakte hain. Lekin main yahan par ek aise tool ke bare mein batane vala hun jiske liye apko koi bhi software ko apne device mein install karne ki jarurat hi nahi padegi. Us tool ka naam hai “YTmp3”, to chaliye jante hain YouTube se MP3 download kaise karen.
Step 1: Ismein sabse pehle apko YouTube.com kholna hoga aur us video ko open karna hoga jiska mp3 apko download karna hai.
Step 2: Video par click karne ke bad apko seedhe address bar par jana hai jon ki Page ke sabse upar rehta hai. Vahan par apko us video ka URL dikhai dega jo ki kuch isprakar dikhai padta hai jaise ki “https://www.youtube.com/watch?v=L7t73qAbkN4”
Step 3: Ab apko us video ke link ko copy karna hai aur YTmp3.com pe jakar use vahan par Paste kar dena hai. YTmp3 ke homepage mein apko pehle ek search box dikhai dega jisme likha hoga “Insert Video Link”. Yahan par hi apko apne pasandida video ka copy kiya hua url ko yahin Paste karna hai.
Step 4: Apko samne search box ke thik niche “Convert to Mp3” likha button dikhega uspe apko click kar dena hai.
Step 5: Ab apke samne download button dikhai dega, us button par click karna hai fir apka gana apke device mein download hona shuru ho jayega. Ab aap use apne device mein check bhi kar sakte hain.
Video Download Kaise Kare
Jab bat Videos ki ho tab ham YouTube ko kaise bhul sakte hain. Ismein apko pray sabhi prakar ke videos mil sakte hain. Lekin ye sabhi keval dekhne ke liye hote hain. Vahin agar apko download karna ho tab apko ismein dikkat aa sakti hai. Kyunki YouTube mein aisi koi by-default funtion nahi hota hai jisse ki aap Video ko download kar sakte hain.
Ab sawal uthta hai ki YouTube se Video download kaise karen?
Yadi main ap se kahun ki aap bina koi Software ke hi in videos ko download kar sakte hain, ji han apne sahi suna. Aap bina softwares ke hi download kar sakte hain apne Computer ya SmartPhone mein.
YouTube se download kaise kare video
Yahan par mein apko YouTube se Video download kaise karen ke vishay mein batane vala hun. Yahan par main apko kuch aise hi upayon ka vishay mein bataunga jo ki apke age bahut kam ane vala hai.
Step 1: Sabse pehle apko YouTube mein jana hoga aur apke pasand ke video link ko copy karna hoga. Iske liye apko bas search bar se video ki url ko copy karni hogi.
Step 2: Ab aap KeepVideo.org ko Open kijiye apne browser mein. Vahan par search box mein vo copy kiya hua video link url ko paste kar dena hoga. Aisa karte hai apko niche download ka option dikhai padega aur apko uspe click karna hoga.
Step 3: Download button par click karne ke bad vo website apke requested video url ko youtube par dhoondhega.
Step 4: Uske bad apko more par click karna hota hai jahan par apko us video ka alag alag format dikhega. Unme se kisi ek format ko aap chun sakte hain apne jarurat ke hisab se.
Step 5: Ek bar aapne video format ko chun liya tab video download automatically hi shuru ho jayega.
SaveFrom se YouTube ke Videos download kare?
Dusre site khole bina YouTube se video download kaise karen? Chaliye is upay ko vistar mein jante hain.
Step 1: Sabse pehle YouTube par jaiye aur apko jo video download karna hai use search kariye.
Step 2: Uske bad URL field par jana hoga aur us url ko copy kar lena hai.
Step 3: Ab aap us video url ko SaveFrom.net ke website se jakar copy karna hota hai.
Step 4: Uske bad apko upar ke method mein bataye gaye step 4 aur step 5 ka palan karna hai. Jisse ki asani se apka video download ho jayega.
IDM ke इस्तेमाल से video download karen
Yadi aap software ke istamal se koi bhi video fir chahe vo youtube ka ho ya kisi dusre website ka ho tab aise mein sabse behtar software hai Internet Download Manager (IDM).
Is software ke istamal se aap badi hi asani se kisi bhi websites se video download kar sakte hain. Is software ko bas apko Install karna hota hai apne computer mein.
Aur jab bhi koi video play hota hai tab apko automatically hi download video ka option nazar ayega, jahan par aap jis bhi resolution ka chunav kar video download kar sakte hain. Movie Download Kaise Kare Yadi aap Bollywood movies download karna chahte hai to uske liye ham apko kuch behtarin sites bata rahe hai, jisse aap koi si bhi Bollywood movie ko download kar sakte hai.
Conclusion :-
Mujhe umeed hai ki aapko meri yeh lekh Internet se songs, video, photos aur movies download kaise kare zaroor pasand aayi hogi.
Meri hamesha se yahi koshish rehti hai ki readers ko video gaane kaise download karen ke vishay mein poori jaankari pradaan ki jaaye jisse unhein kisi dusre sites ya internet mein us article ke sandarbh mein khojne ki zarurat hi nahi hai.
Isse unki samay ki bachat bhi hogi aur ek hi jagah mein unhein sabhi information bhi mil jaayenge. Yadi aapke man mein is article ko lekar koi bhi doubts hain ya aap chahte hain ki ismein kuch sudhaar honi chahiye tab iske liye aap neeche comments likh sakte hain.
Yadi aapko yeh post download kaise karte hain Hindi mein pasand aaya ya kuch seekhne ko mila tab kripaya is post ko Social Networks jaise ki Facebook, Twitter ityadi par share keejiye.