Raksha Bandhan Kisliye Manate Hai Aur Kyon

Raksha Bandhan ka parv do shabdon ke milne se bana hua hai, “Raksha” aur “Bandhan”. Sanskrit bhasha ke anusar, is parv ka matlab hota hai ki “ek aisa bandhan jo ki raksha pradaan karta ho”. Yahaan par “Raksha” ka matlab raksha pradaan karna hota hai aur “Bandhan” ka matlab hota hai ek gaanth, ek dor jo ki raksha pradaan kare.

Ye dono hi shabd milkar ek bhai-bahan ka pratik hote hain. Yahaan ye pratik keval khoon ke rishte ko hi nahin samajhata balki ye ek pavitr rishte ko jataata hai. Yah tyauhaar khushi pradaan karne waala hota hai vahiin ye bhaiyon ko ye yaad dilata hai ki unhen apne bahnon ki hamesha raksha karni hai.

Raksha Bandhan bhai-bahan ka pratik maana jaata hai. Raksha Bandhan bhai-bahan ke pavitr rishte ko jataata hai aur ghar mein khushiya lekar aata hai. Iske alaava yah tyauhaar bhaiyon ko yaad dilata hai ki unhen apni bahnon ki raksha karni chahiye.

Raksha Bandhan kyun manaya jaata hai? Raksha Bandhan asal mein isliye manaya jaata hai kyunki ye ek bhai ka apne bahan ke prati kartavya ko jahir karta hai. Vahiin ise keval sage bhai behan hi nahin balki koi bhi stri aur purush jo ki is parv ki maryada ko samajhte hai vo iska paalan kar sakte hain.

Is mauke par, ek bahan apne bhai ke kalai mein raakhi baandhati hai. Vahiin vo bhagwaan se ye maangti hai ki uska bhai hamesha khush rahe aur swasth rahe. Vahiin bhai bhi apne bahan ko badle mein koi taufa pradaan karta hai aur ye pratigya karta hai ki koi bhi vipatti aa jaaye vo apne bahan ki raksha hamesha karega.

Saath mein vo bhi bhagwaan se apne behen hi lambi umr aur achhe swaasthya ki manokaamnaa karta hai. Vahiin is tyauhaar ka paalan koi bhi kar sakta hai phir chahe vo sage bhai behan ho ya na ho. Ab shaayad aapko samajh mein aa hi gaya hoga ki Raksha Bandhan kyoon manaya jaata hai.

Raksha Bandhan ka itihaas – History of Raksha Bandhan in Hindi

Raksha Bandhan ka itihaas bahut puraani hai. Raakhi ka tyauhaar pure Bharatvarsh mein kaafi harsh evam ullas ke saath manaya jaata hai. Yah ek aisa tyauhaar hai jismein kya dhani kya gareeb sabhi ise manaate hain. Lekin sabhi tyoharon ke tarah hi raakhi in Hindi ke bhi ek itihaas hai, aise kahaaniyaan jo ki dantkathaon mein kaafi lokpriya hain.

Chaliye Raksha Bandhan ki shuruuaat kaise hui ke vishay mein jaante hain.

·        Samraat Alexander aur Samraat Puru

Raakhi tyauhaar ke sabse puraani kahaani san 300 BC mein hui thi. Us samay jab Alexander ne Bharat jitne ke liye apni poori sena ke saath yahaan aaya tha. Us samay Bharat mein Samraat Puru ka kaafi bolbaala tha. Jahaan Alexander ne kabhi kisi se bhi nahin haara tha unhen Samraat Puru ke sena se ladne mein kaafi dikkaat hui.

Jab Alexander ki patni ko Raksha Bandhan ke baare mein pata chala tab unhone Samraat Puru ke liye ek raakhi bhiji thi jisse ki vo Alexander ko jaan se na maar den. Vahiin Puru ne bhi apni behen ka kehna maana aur Alexander par hamla nahin kiya tha.

·        Raani Karnavati aur Samraat Humayun Raani Karnavati aur Samraat Humayun ki kahaani

ka kuch alag hi mahatv hai. Ye us samay ki baat hai jab Rajputon ko Musalmaan rajaon se yudh karna pad raha tha apni raajya ko bachaane ke liye. Raakhi us samay bhi prachalit thi jismein bhai apne bahnon ki raksha karta hai. Us samay Chitor ki Raani Karnavati hua karti thi. Vo ek vidhwa raani thi.

Aur aise mein Gujarat ke Sultan Bahadur Saah ne unpar hamla kar diya. Aise mein Raani apne raajya ko bacha sakne mein asamarth hone lagi. Ispar unhone ek raakhi Samraat Humayun ko bhija unki raksha karne ke liye. Aur Humayun ne bhi apni behen ki raksha ke hetu apni ek sena ki tukdi Chittor bhij diya. Jisse baad mein Bahadur Saah ke sena ko peeche hatna pada tha.

·        Indradev ki kahaani

Bhavishya Puraan mein ye likha hua hai ki jab asuron ke raja Bali ne devtaon ke oopar aakraman kiya tha tab devtaon ke raja Indra ko kaafi kshyati pahunchi thi.

Is avastha ko dekhkar Indra ki patni Sachi se raha nahin gaya aur vo Vishnu ji ke kareeb gayi iska samaadhaan praapt karne ke liye. Tab Prabhu Vishnu ne ek dhaaga Sachi ko pradaan kiya aur kaha ki vo is dhaage ko jaakar apne pati ke kalai par baandh den. Aur jab unhonne aisa kiya tab Indra ke haathon raja Bali ki paraajay hui.

Isliye puraane samay mein yudh mein jaane se poorv raja aur unke sainikon ke haathon mein unki patni aur bahnen raakhi baandha karti thi jisse vo sakushal ghar jeet kar laut saken.

·        Mata Lakshmi aur Raja Bali ki kahaani

Asur Samraat Bali ek bahut hi bada bhakt tha Bhagwaan Vishnu ka. Bali ki itni jyaada bhakti se prasann hokar Vishnu ji ne Bali ke raajya ki raksha swayam karnee shuru kar di. Aise mein Mata Lakshmi is cheez se pareshaan hone lagi. Kyunki Vishnu ji ab aur Vaikunth par nahin rahte the.

Ab Lakshmi ji ne ek brahman aurat ka roop lekar Bali ke mahal mein rahne lagi. Vahiin baad mein unhonne Bali ke haathon mein raakhi bhi baandh di aur badle mein unse kuchh dene ko kaha. Ab Bali ko ye nahin pata tha ki vo aurat aur koi nahin Mata Lakshmi hai isliye unhonne use kuchh bhi maangne ka avsar diya.

Ispar Mata ne Bali se Vishnu ji ko unke saath vaapas Vaikunth laut jaane ka aagrah kiya. Ispar chooki Bali se pehle hi dene ka vaada kar diya tha isliye unhen Bhagwaan Vishnu ko vaapas lautna pada. Isliye raakhi ko bahut se jagahon mein Balevhaa bhi kaha jaata hai.

·        Krishna aur Draupadi ki kahaani

Logon ki raksha karne ke liye Lord Krishna ko dusht raja Shishupal ko maarna pada. Is yudh ke dauraan Krishna ji ki angoothi mein gahri chot aai thi. Jise dekhkar Draupadi ne apne vastra ka upyog kar unki khoon bahne ko rok diya tha.

Bhagwaan Krishna ko Draupadi ki is kaary se kaafi prasannata hui aur unhonne unke saath ek bhai behan ka rishta nibhaaya. Vahiin unhonne unse ye bhi vaada kiya ki samay aane par vo unka jarur se madad karenge.

Bahut varshon baad jab Draupadi ko Kuru sabha mein jue ke khel mein haarna pada tab Kauravon ke rajkumar Duhasaasan ne Draupadi ka chir haran karne laga. Ispar Krishna ne Draupadi ki raksha kari thi aur unki laaj bachaayi thi.

·        Mahabharat mein Raakhi

Bhagwaan Krishna ne Yudhisthir ko ye salaah di ki Mahabharat ke ladai mein khudko aur apne sena ko bachaane ke liye unhen raakhi ka jarur se upyog karna chahiye yudh mein jaane se pehle. Ispar Mata Kunti ne apne naati ke haathon mein raakhi baandhi thi vahiin Draupadi ne Krishna ke haathon par raakhi baandha tha.

·        Santoshi Maa ki kahaani

Bhagwaan Ganesha ke donon putra Subh aur Labh is baat ko lekar pareshaan the ki unki koi behen nahin hai. Isliye unhonne apne pita ko ek behen laane ke liye jid ki. Ispar Naarad ji ke hastakshep karne par baadhy hokar Bhagwaan Ganesha ko Santoshi Maata ko utpann karna pada apne shakti ka upyog kar.

Vahiin ye mauka Raksha Bandhan hi tha jab donon bhaiyon ko unki behen praapt hui.

·        Yam aur Yamuna ki kahaani

 Ek lokkatha ke anusar mrityu ke devtaa Yam ne kareeb 12 varshon tak apne behen Yamuna ke paas nahin gaye, ispar Yamuna ko kaafi dukh pahunchi.

Baad mein Ganga Maata ke paraamarsh par Yam ji ne apne behen ke paas jaane ka nishchay kiya. Apne bhai ke aane se Yamuna ko kaafi khushi praapt hui aur unhonne Yam bhai ka kaafi khyaal rakha.

Ispar Yam kaafi prasann ho gaye aur kaha ki Yamuna tumhe kya chahiye. Jispar unhonne kaha ki mujhe aapse baar baar milna hai. Jispar Yam ne unki ichchha ko poorn bhi kar diya. Isse Yamuna hamesha ke liye amar ho gayi.

Bharat ke dusre dharmo mein Raksha Bandhan kaise manaya jaata hai?

Chaliye ab jaante hain ki kaise Bharat ke dusre dharmo mein Raksha Bandhan manaya jaata hai.

Hindu dharm mein – Yah tyauhaar Hindu dharm mein kaafi harsh evam ullas ke saath manaya jaata hai. Vahiin ise Bharat ke uttari praant aur pashchimi praanton mein jyaada manaya jaata hai. Iske alaava bhi dusre deshon mein bhi ise manaya jaata hai jaise ki Nepal, Pakistan, Mauritius mein bhi manaya jaata hai.

Jain dharm mein – Jain dharm mein unke Jain pandit bhakton ko pavitr dhaaga pradaan karte hain.

Sikh dharm mein – Sikh dharm mein bhi ise bhai aur behan ke beech manaya jaata hai. Vahiin ise Raakhaadi ya Raakhri kaha jaata hai. Bhartiya dharm sanskriti ke anusar Raksha Bandhan ka tyauhaar Shraavan maah ki poornima ko manaya jaata hai. Yah tyauhaar bhai-behan ko sneh ki dor mein baandhta hai. Is din behan apne bhai ke mastak par teeka lagaakar raksha ka bandhan baandhati hai, jise raakhi kahte hain.

Raakhi baandhne ka shubh muhurat aur paanchaang kab hai? Raakhi ka tyauhaar is baar 30 August, yaani Swatantrata Divas ke din hone waala hai. Is din Budhvaar pad raha hai.

Yadi ham subh muhurat ki baat karen tab is saal Raksha Bandhan par raakhi baandhne muhurat kaafi lamba hai.

Raksha Bandhan 2023 ka shubh muhurat 30 August 2023 raat 09:01 se 31 August subah 07:05 tak rahega. Is samay behane apne bhai ko subah se shaam tak kabhi bhi raakhi baandh sakti hain.

2023 mein Rakshabandhan kab hai?

Is varsh 2023 mein Rakshabandhan hai 30 August 2023, Budhvaar ko hai.

Raksha Bandhan har varsh Shravan maas ki poornima ko manaya jaata hai. Bhai ki kalai par baandhe jaane vaale inhi kacche dhaagon se pakke rishte bante hain. Pavitrata tatha sneh ka soochak yah parv bhai-behan ko pavitr sneh ke bandhan mein baandhne ka pavitr evam yaadgaar divas hai. Is parv ko Bharat ke kai hisson mein Shravani ke naam se jaana jaata hai.

Rakshabandhan kaise manaya jaata hai?

Sabhi tyohaaron ke tarah hi Raksha Bandhan ko manaane ki ek vidhi hoti hai jiska paalan karna bahut hi aavashyak hota hai. Chaliye is vishay mein vistaar mein jaante hain. Rakshabandhan ke din subah jaldi uthkar naha lena hota hai.

Isse man aur sharir donon hi pavitr ho jaata hai. Phir sabse pehle Bhagwaan ki pooja ki jaati hai. Pure ghar ko saaf kar charon taraf Ganga jal ka chhidkaav kiya jaata hai. Ab baat aati hai raakhi baandhne ki.

Ismein pehle raakhi ki thaali ko sajaaya jaata hai. Rakshabandhan ke pravitrah tyauhaar ke din pital ki thaali me raakhi, chandan, deepak, kumkum, haldi, chaaval ke daane naariyal aur mithaai rakhi jaati hai.

Ab bhai ko bulaaya jaata hai aur unhen ek saaf sthaan mein neeche bithaaya jaata hai. Phir shuru hota hai raakhi baandhne ki vidhi. Sabse pehle thaali ke diye ko jalaati hai, phir behan bhai ke maathe par tilak chandan lagaati hai. Vahiin phir bhai ki aarti karati hai. Uske baad vo akshat phenkati hui mantron ka uchchaaran karati hai. Aur phir bhai ke kalai mein raakhi baandhati hai.

Vahiin phir use mithaai bhi khilaati hai. Yadi bhai bada hua tab behan uske charan sparsh karati hai vahiin chhota hua tab bhai karata hai. Ab bhai apne behan ko bhent pradaan karata hai. Jise ki behan khushi khushi leti hai.

 Ek baat ki jab tak raakhi ki vidhi pooree na ho jaaye tab tak donon ko bhuka hi rahna padta hai. Iske pashchaat raakhi ka rasm poora hota hai.

Bharat ke dusre praanton mein Raksha Bandhan kaise manaya jaata hai?

Choonki Bharat ek bahut hi bada desh hai isliye yahaan par dusre dusre praanton mein alag alag dhang se tyohaaron ko manaya jaata hai. Chaliye ab jaante hain ki Rakshabandhan ko kaise dusre praanton mein manaya jaata hai.

  1. Pashchimi ghaat mein Rakshabandhan kaise maante hain :- Pashchimi ghaat ki baat karen tab vahaan par raakhi ko ek dey maana jaata hai Bhagwaan Varun ko. Jo ki samudra ke devtaa hain. Is din Varun ji ko naariyal pradaan kiye jaate hain. Is din naariyal ko samudra mein phenka jaata hai. Isliye is Raakhi Poornima ko Naariyal Poornima bhi kaha jaata hai.
  2. Dakshin Bharat mein Rakshabandhan kaise maante hain :- Dakshin Bharat mein, Raksha Bandhan ko Avani Avittam bhi kaha jaata hai. Ye parv braahmanon ke liye jyaada mahatv rakhta hai. Kyunki is din vo snaan karne ke baad apne pavitr dhaage (Janeu) ko bhi badalte hain mantron ke uchchaaran karne ke saath. Is pooja ko Shravani ya Rishi Tarpan bhi kaha jaata hai. Sabhi braahman is cheez ka paalan karate hain.
  3. Uttar Bharat mein Rakshabandhan kaise maante hain :- Uttar Bharat mein Raksha Bandhan ko Kajri Poornima ke naam se jaana jaata hai. Is parv ke dauraan khet mein gehoon aur dusre anaaj ko bichaaya jaata hai. Vahiin aise mauke mein Mata Bhagwati ki pooja ki jaati hai. Aur Mata se achhi fasal ki kaamna ki jaati hai.
  4. Gujarat mein Rakshabandhan kaise maante hain :- Gujarat ke log is pure maheene ke pratyek Somvaar ko Shivling ke oopar paani chadhaate hain. Is pavitr mauke par log rui ko panchkavya mein bhigokar use Shiv ling ke chaaron aur baandh dete hain. Is pooja ko Pavitropanna bhi kaha jaata hai.
  5. Granthon mein Rakshabandhan :- Yadi aap granthon mein dekhen tab aap paayenge ki Rakshabandhan ko ‘punya pradaayak’ maana gaya hai. Iska matlab ki is din achhe kaary karne vaalon ko kaafi saara punya praapt hota hai. Rakshabandhan ko ‘vish taarak’ ya vish naasak bhi maana jaata hai. Vahiin ise ‘paap naashak’ bhi kaha jaata hai jo ki kharaab karmaon ko naash karata hai.

Raksha Bandhan ka mahatva

Raksha Bandhan ka mahatva sach mein sabse alag hota hai. Aisa bhai behan ka pyaar shayad hi aapko kahin aur dekhne ko mile kisi dusre tyauhaar mein. Ye parampara Bharat mein kaafi prachalit hai aur ise Shravan poornima ke liye manaya jaata hai.

Yah ekmatr aisa parv hai jismein ki behan bhai ke haathon mein raakhi baandhkar usse apne raksha ki kasam leti hai. Vahiin bhai ka bhi ye kartavya hota hai ki vo kisi bhi paristhiti mein apne behan ki raksha kare. Sach mein aisa pavitr parv aapko duniya mein kahin aur dekhne ko na mile.

 Raakhi ka tyauhaar Shravan ke maheene mein padta hai, is maheene mein garmi ke baad baaris ho rahi hoti hai, samudra bhi shaant hota hai aur pur vaataavaran bhi kaafi manmohak hota hai.

Ye mahina sabhi kisaanon, machhvaare aur saamudrik yaatra karne vaale vyavasaayon ke liye bhi kaafi mahatv rakhta hai. Rakshabandhan ko Naariyali Poornima bhi kaha jaata hai Bharat ke saamudrik tat ilaakon mein.

Is din varsha ke devtaa Indra aur sumudra ke devtaa Varun ki pooja ki jaati hai. Vahiin devtaaon ko naariyal arpan kiye jaate hain aur khushhaali ki kaamna ki jaati hai. Ismein naariyal ko samudra mein phenka jaata hai ya koi dusre paani ke jagah mein.

Logon ka maanana hai ki Prabhu Shriram bhi Mata Sita ko chhudaane ke liye isi din apni yaatra prarambh ki thi. Unhone samudra ko pattharon se nirmit pul ke maadhyam se paar kiya tha jise ki vaanar sena ne banaaya tha.

 Naariyal ke oopari bhag mein jo teen chhote chhote gadde hote hain use Prabhu Shivji ka maana jaata hai. Machhvaare bhi apne machhli pakadne ki shuruvaat isi din se karate hain kyunki is samay samudra shaant hota hai aur unhen paani mein jaane mein koi khatra nahin hota hai.

Kisaanon ke liye ye din Kajri Poornima hota hai. Kisaan isi din se hi apne kheton mein gehoon ki bij bote hain aur achhi fasal ki kaamna karate hain Bhagwaan se. Ye din braahmanon ke liye bhi kaafi mahatvapoorn hota hai. Kyunki is din vo apne janeu ko badalte hain mantron ke uchaarran ke saath.

Vahiin vo is poornima ko Rishi Tarpan bhi kahate hain. Vahiin vidhi ke khatm ho jaane ke baad ye aapas mein naariyal se nirmit mithaai khaate hain. Agale paanch saalon ke liye Rakshabandhan ki taarikh Chaliye jaante hain agale paanch varshon tak kis din Raksha Bandhan aane vaala hai.

Rakshabandhan ko chhodkar aisa kaun sa tyauhaar jo ki bhai behan ke pyaar ko darshaata hai? Rakshabandhan ke tarah hi ek doosra tyauhaar bhi hai jo ki bhai behan ke pyaar ko darshaata hai. Ise tyauhaar ka naam hai Bhai Dooj.

Is tyauhaar mein bhai behan ke rishte ko majbooti pradaan karne ke liye manaya jaata hai. Ismein behnen apne bhayiyon ke maathe par tilak lagaati hain aur unke achhe swasthya ki manokamna karati hain. Vahiin bhai bhi sadaa apne behan ke saath khada hone ke pratigya karate hain.

Vahiin donon ek dusre ko mithaai khilaate hain aur bhai apne behan ko taufe deta hai. Log apne paarmparik poshaak dhaaran karate hain jisse ki parv ki garima bani rahe. Vahiin ye keval bhai behan ke aapsi mel milaap ka hi samay nahin hota balki poora parivaar ek dusre ke saath achha samay vyateet karata hai.

Conclusion

aaj ke is article me aapne jana ki rakhsha bandhan kya hai or ise kyon manaya jata haior sath hi sath iski puri history ke baare me jana. yadi apko ye article accha lge to please apne dosto ke sath jrur share karna. baki is article ko last tak padne ke liye bahut bahut dhnyabad!

Bhushan
Bhushanhttp://www.bloggerkey.com
I am Bhushan Garg MCA Holder and 30 years old young Enterpreneur. By profession I'm a Blogger, Computer Trainer, and SEO Optimizer.

Related Articles

Latest Articles

Categories

error: Content is protected !!